Zahid Na Kah Buri Ki Ye Mastane Aadmi Hain
zahid na kah buri ki ye mastane aadmi hain
tujh ko lipaT paDenge diwane aadmi hain
ghairon ki dosti par kyun e'tibar kije
ye dushmani karenge begane aadmi hain
jo aadmi pe guzri wo ek siwa tumhaare
kya ji laga ke sunte afsane aadmi hain
kya juraten jo hum ko darban tumhaara Toke
kah do ki ye to jaane-pahchane aadmi hain
mai bund bhar pila kar kya hans raha hai saqi
bhar bhar ke pite aaKHir paimane aadmi hain
tum ne hamare dil mein ghar kar liya to kya hai
aabaad karte aaKHir virane aadmi hain
naseh se koi kah de kije kalam aisa
hazrat ko ta ki koi ye jaane aadmi hain
jab dawar-e-qayamat puchhega tum pe rakh kar
kah denge saf hum to begane aadmi hain
main wo bashar ki mujh se har aadmi ko nafrat
tum shama wo ki tum par parwane aadmi hain
mahfil bhari hui hai saudaiyon se us ki
us ghairat-e-pari par diwane aadmi hain
shabash 'dagh' tujh ko kya tegh-e-ishq khai
ji karte hain wahi jo mardane aadmi hain
(1925) Peoples Rate This