Ye Baat Baat Mein Kya Nazuki Nikalti Hai
ye baat baat mein kya nazuki nikalti hai
dabi dabi tere lab se hansi nikalti hai
Thahar Thahar ke jala dil ko ek bar na phunk
ki is mein bu-e-mohabbat abhi nikalti hai
bajae shikwa bhi deta hun main dua us ko
meri zaban se karun kya yahi nikalti hai
KHushi mein hum ne ye shoKHi kabhi nahin dekhi
dam-e-itab jo rangat teri nikalti hai
hazar bar jo manga karo to kya hasil
dua wahi hai jo dil se kabhi nikalti hai
ada se teri magar khinch rahin hain talwaren
nigah nigah se chhuri par chhuri nikalti hai
muhit-e-ishq mein hai kya umid o bim mujhe
ki Dub Dub ke kashti meri nikalti hai
jhalak rahi hai sar-e-shaKH-e-mizha KHun ki bund
shajar mein pahle samar se kali nikalti hai
shab-e-firaq jo khole hain hum ne zaKHm-e-jigar
ye intizar hai kab chandni nikalti hai
samajh to lijiye kahne to dijiye matlab
bayan se pahle hi mujh par chhuri nikalti hai
ye dil ki aag hai ya dil ke nur ka hai zuhur
nafas nafas mein mere raushni nikalti hai
kaha jo main ne ki mar jaunga to kahte hain
hamare zaiche mein zindagi nikalti hai
samajhne wale samajhte hain pech ki taqrir
ki kuchh na kuchh teri baaton mein fi nikalti hai
dam-e-aKHir tasawwur hai kis pari-wash ka
ki meri ruh bhi ban kar pari nikalti hai
sanam-kade mein bhi hai husn ek KHudai ka
ki jo nikalti hai surat pari nikalti hai
mere nikale na niklegi aarzu meri
jo tum nikalna chaho abhi nikalti hai
gham-e-firaq mein ho 'dagh' is qadar betab
zara se ranj mein jaan aap ki nikalti hai
(1441) Peoples Rate This