Uzr Unki Zaban Se Nikla
uzr un ki zaban se nikla
tir goya kaman se nikla
wo chhalawa is aan se nikla
al-aman har zaban se nikla
KHar-e-hasrat bayan se nikla
dil ka kanTa zaban se nikla
fitnagar kya makan se nikla
aasman aasman se nikla
aa gaya ghash nigah dekhte hi
muddaa kab zaban se nikla
kha gae the wafa ka dhoka hum
jhuT sach imtihan se nikla
dil mein rahne na dun tera shikwa
dil mein aaya zaban se nikla
wahm aate hain dekhiye kya ho
wo akela makan se nikla
tum baraste rahe sar-e-mahfil
kuchh bhi meri zaban se nikla
sach to ye hai moamla dil ka
bahar apne guman se nikla
us ko aayat hadis kya samjhen
jo tumhaari zaban se nikla
paD gaya jo zaban se teri harf
phir na apne makan se nikla
dekh kar ru-e-yar salle-ala
be-tahasha zaban se nikla
lo qayamat ab aai wo kafir
ban-bana kar makan se nikla
mar gae hum magar tera arman
dil se nikla na jaan se nikla
rah-raw-e-rah-e-ishq the lakhon
aage main karwan se nikla
samjho patthar ki tum lakir use
jo hamari zaban se nikla
bazm se tum ko le ke jaenge
kaam kab phul-pan se nikla
kya murawwat hai nawak-e-dil-doz
pahle hargiz na jaan se nikla
tere diwanon ka bhi lashkar aaj
kis tajammul se shan se nikla
muD ke dekha to main ne kab dekha
dur jab pasban se nikla
wo hile lab tumhaare wade par
wo tumhaari zaban se nikla
us ki banki ada ne jab mara
dam mera aan tan se nikla
mere aansu ki us ne ki tarif
KHub moti ye kan se nikla
hum khaDe tum se baaten karte the
ghair kyun darmiyan se nikla
zikr ahl-e-wafa ka jab aaya
'dagh' un ki zaban se nikla
(1452) Peoples Rate This