Uzr Aane Mein Bhi Hai Aur Bulate Bhi Nahin
uzr aane mein bhi hai aur bulate bhi nahin
bais-e-tark-e-mulaqat batate bhi nahin
muntazir hain dam-e-ruKHsat ki ye mar jae to jaen
phir ye ehsan ki hum chhoD ke jate bhi nahin
sar uThao to sahi aankh milao to sahi
nashsha-e-mai bhi nahin nind ke mate bhi nahin
kya kaha phir to kaho hum nahin sunte teri
nahin sunte to hum aison ko sunate bhi nahin
KHub parda hai ki chilman se lage baiThe hain
saf chhupte bhi nahin samne aate bhi nahin
mujh se laghar teri aankhon mein khaTakte to rahe
tujh se nazuk meri nazron mein samate bhi nahin
dekhte hi mujhe mahfil mein ye irshad hua
kaun baiTha hai use log uThate bhi nahin
ho chuka qata talluq to jafaen kyun hon
jin ko matlab nahin rahta wo satate bhi nahin
zist se tang ho ai 'dagh' to jite kyun ho
jaan pyari bhi nahin jaan se jate bhi nahin
(2044) Peoples Rate This