Tumhaare KHat Mein Naya Ek Salam Kis Ka Tha
tumhaare KHat mein naya ek salam kis ka tha
na tha raqib to aaKHir wo nam kis ka tha
wo qatl kar ke mujhe har kisi se puchhte hain
ye kaam kis ne kiya hai ye kaam kis ka tha
wafa karenge nibahenge baat manenge
tumhein bhi yaad hai kuchh ye kalam kis ka tha
raha na dil mein wo bedard aur dard raha
muqim kaun hua hai maqam kis ka tha
na puchh-gachh thi kisi ki wahan na aaw-bhagat
tumhaari bazm mein kal ehtimam kis ka tha
tamam bazm jise sun ke rah gai mushtaq
kaho wo tazkira-e-na-tamam kis ka tha
hamare KHat ke to purze kiye paDha bhi nahin
suna jo tu ne ba-dil wo payam kis ka tha
uThai kyun na qayamat adu ke kuche mein
lihaz aap ko waqt-e-KHiram kis ka tha
guzar gaya wo zamana kahun to kis se kahun
KHayal dil ko mere subh o sham kis ka tha
hamein to hazrat-e-waiz ki zid ne pilwai
yahan irada-e-sharb-e-mudam kis ka tha
agarche dekhne wale tere hazaron the
tabah-haal bahut zer-e-baam kis ka tha
wo kaun tha ki tumhein jis ne bewafa jaana
KHayal-e-KHam ye sauda-e-KHam kis ka tha
inhin sifat se hota hai aadmi mashhur
jo lutf aam wo karte ye nam kis ka tha
har ek se kahte hain kya 'dagh' bewafa nikla
ye puchhe un se koi wo ghulam kis ka tha
(1131) Peoples Rate This