Tum Aaina Hi Na Har Bar Dekhte Jao
tum aaina hi na har bar dekhte jao
meri taraf bhi to sarkar dekhte jao
na jao haal-e-dil-e-zar dekhte jao
ki ji na chahe to na-chaar dekhte jao
bahaar-e-umr mein bagh-e-jahan ki sair karo
khila hua hai ye gulzar dekhte jao
yahi to chashm-e-haqiqat nigar ka surma hai
niza-e-kafir-o-din-dar dekhte jao
uThao aankh na sharmao ye to mahfil hai
ghazab se jaanib-e-aghyar dekhte jao
nahin hai jins-e-wafa ki tumhein jo qadr na ho
banenge kitne KHaridar dekhte jao
tumhein gharaz jo karo rahm paemalon par
tum apni shoKHi-e-raftar dekhte jao
qasam bhi khai thi quran bhi uThaya tha
phir aaj hai wahi inkar dekhte jao
ye shamat aai ki us ki gali mein dil ne kaha
khula hai rauzan-e-diwar dekhte jao
hua hai kya abhi hangama aur kuchh hoga
fughan mein hashr ke aasar dekhte jao
shab-e-visal adu ki yahi nishani hai
nishan-e-bosa-e-ruKHsar dekhte jao
tumhaari aankh mere dil se le sabab be-wajh
hui hai laDne ko tayyar dekhte jao
idhar ko aa hi gae ab to hazrat-e-zahid
yahin hai KHana-e-KHummar dekhte jao
raqib barsar-e-parKHash hum se hota hai
baDhegi muft mein takrar dekhte jao
nahin hain jurm-e-mohabbat mein sab ke sab mulzim
KHata muaf KHata-war dekhte jao
dikha rahi hai tamasha falak ki nairangi
naya hai shoabada har bar dekhte jao
bana diya meri chahat ne ghairat-e-yusuf
tum apni garmi-e-bazar dekhte jao
na jao band kiye aankh rah-rawan-e-adam
idhar udhar bhi KHabar-dar dekhte jao
suni-sunai pe hargiz kabhi amal na karo
hamare haal ke aKHbar dekhte jao
koi na koi har ek sher mein hai baat zarur
janab-e-'dagh' ke ashaar dekhte jao
(1676) Peoples Rate This