Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_206524c6269957fd72ab1d48f838bc8f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Teri Surat Ko Dekhta Hun Main - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Teri Surat Ko Dekhta Hun Main

teri surat ko dekhta hun main

us ki qudrat ko dekhta hun main

jab hui subh aa gae naseh

unhin hazrat ko dekhta hun main

wo musibat suni nahin jati

jis musibat ko dekhta hun main

dekhne aae hain jo meri nabz

un ki surat ko dekhta hun main

maut mujh ko dikhai deti hai

jab tabiat ko dekhta hun main

shab-e-furqat uTha uTha kar sar

subh-e-ishrat ko dekhta hun main

dur baiTha hua sar-e-mahfil

rang-e-sohbat ko dekhta hun main

har musibat hai be-maza shab-e-gham

aafat aafat ko dekhta hun main

na mohabbat ko jaante ho tum

na murawwat ko dekhta hun main

koi dushman ko yun na dekhega

jaise qismat ko dekhta hun main

hashr mein 'dagh' koi dost nahin

sari KHilqat ko dekhta hun main

(1448) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Teri Surat Ko Dekhta Hun Main In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Teri Surat Ko Dekhta Hun Main is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Teri Surat Ko Dekhta Hun Main for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Teri Surat Ko Dekhta Hun Main in PDF.