Tamasha-e-dair-o-haram Dekhte Hain
tamasha-e-dair-o-haram dekhte hain
tujhe har bahane se hum dekhte hain
hamari taraf ab wo kam dekhte hain
wo nazren nahin jin ko hum dekhte hain
zamane ke kya kya sitam dekhte hain
hamin jaante hain jo hum dekhte hain
phire but-kade se to ai ahl-e-kaba
phir aa kar tumhaare qadam dekhte hain
hamein chashm-e-bina dikhati hai sab kuchh
wo andhe hain jo jam-e-jam dekhte hain
na ima-e-KHwahish na izhaar-e-matlab
mere munh ko ahl-e-karam dekhte hain
kabhi toDte hain wo KHanjar ko apne
kabhi nabz-e-bismil mein dam dekhte hain
ghanimat hai chashm-e-taghaful bhi un ki
bahut dekhte hain jo kam dekhte hain
gharaz kya ki samjhen mere KHat ka mazmun
wo unwan o tarz-e-raqam dekhte hain
salamat rahe dil bura hai ki achchha
hazaron mein ye ek dam dekhte hain
raha kaun mahfil mein ab aane wala
wo chaaron taraf dam-ba-dam dekhte hain
udhar sharm hail idhar KHauf mane
na wo dekhte hain na hum dekhte hain
unhen kyun na ho dilrubai se nafrat
ki har dil mein wo gham alam dekhte hain
nigahban se bhi kya hui bad-gumani
ab us ko tere sath kam dekhte hain
hamein 'dagh' kya kam hai ye sarfaraazi
ki shah-e-dakan ke qadam dekhte hain
(4549) Peoples Rate This