Sitam Hi Karna Jafa Hi Karna Nigah-e-ulfat Kabhi Na Karna
sitam hi karna jafa hi karna nigah-e-ulfat kabhi na karna
tumhein qasam hai hamare sar ki hamare haq mein kami na karna
hamari mayyat pe tum jo aana to chaar aansu baha ke jaana
zara rahe pas-e-abru bhi kahin hamari hansi na karna
kahan ka aana kahan ka jaana wo jaante hi nahin ye rasmen
wahan hai wade ki bhi ye surat kabhi to karna kabhi na karna
liye to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman mein lekin
hamare pahlu mein baiTh kar tum hamin se pahlu-tahi na karna
nahin hai kuchh qatl un ka aasan ye saKHt-jaan hain bure bala ke
qaza ko pahle sharik karna ye kaam apni KHushi na karna
halak andaz-e-wasl karna ki parda rah jae kuchh hamara
gham-e-judai mein KHak kar ke kahin adu ki KHushi na karna
meri to hai baat zahr un ko wo un ke matlab hi ki na kyun ho
ki un se jo iltija se kahna ghazab hai un ko wahi na karna
hua agar shauq aaine se to ruKH rahe rasti ki jaanib
misal-e-ariz safai rakhna ba-rang-e-kakul kaji na karna
wo hi hamara tariq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna
ye ek shewa tera sitamgar ki dost se dosti na karna
hum ek rasta gali ka us ki dikha ke dil ko hue pasheman
ye hazrat-e-KHizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna
bayan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai wahan apni ye haqiqat
jo baat karni to nala karna nahin to wo bhi kabhi na karna
madar hai naseho tumhin par tamam ab us ki munsifi ka
zara to kahna KHuda-lagi bhi faqat suKHan-parwari na karna
buri hai ai 'dagh' rah-e-ulfat KHuda na le jae aise raste
jo apni tum KHair chahte ho to bhul kar dil-lagi na karna
(1393) Peoples Rate This