Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_2d456b3ca6899a08061b68d6f72878c5, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai

qarine se ajab aarasta qatil ki mahfil hai

jahan sar chahiye sar hai jahan dil chahiye dil hai

har ek ke waste kab ishq ki dushwar manzil hai

jise aasan hai aasan hai jise mushkil hai mushkil hai

zahe taqdir kis aaram o rahat se wo bismil hai

ki jis ke sar ka takiya der se zanu-e-qatil hai

tariq-e-ishq kuchh aasan hai kuchh hum ko mushkil hai

idhar rahbar udhar rahzan yahi manzil-ba-manzil hai

mujhe tujh se rukawaT aur tu ghairon pe mail hai

mera dil ab tera dil hai tera dil ab mera dil hai

baDha dil is qadar fart-e-KHushi se wasl ki shab ko

mujhe ye wahm tha pahlu mein ye takiya hai ya dil hai

teri talwar ke qurban ai saffak kya kahna

idhar kushte pe kushta hai udhar bismil pe bismil hai

adam mein le chala hai rahnuma-e-ishq kya mujh ko

yahi kahta hai aa pahunche hain thoDi dur manzil hai

unhen jab mehrban pa kar sawal-e-wasl kar baiTha

dabi aawaz se sharma ke wo bole ye mushkil hai

sitam bhi ho to mujh par ho jafa bhi ho to mujh par ho

mujhe is rashk ne mara wo kyun aalam ka qatil hai

masiha ne tere bimar ko dekha to farmaya

na ye jine ke qabil hai na ye marne ke qabil hai

zabardasti to dekho hath rakh kar mere sine par

wo kis dawe se kahte hain hamara hi to ye dil hai

hamare dil mein aa kar sair dekho KHub-ruyon ki

ki indr ka akhaDa hai pari-zadon ki mahfil hai

madarij-e-ishq ke tai ho saken ye ho nahin sakta

zamin se arsh tak ai be-KHabar manzil-ba-manzil hai

jhiDakte ho mujhe kyun dur hi se pas aane do

baDha kar hath dil deta hun tum samjhe ho sail hai

suna bhi tu ne ai dil kya sada aati hai mahshar mein

yahi din imtihan ka hai hamare kaun shamil hai

uDate hain maze duniya ke hum ai 'dagh' ghar baiThe

dakan mein ab to afzalganj apni aish manzil hai

(1119) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Qarine Se Ajab Aarasta Qatil Ki Mahfil Hai in PDF.