Mujhe Ai Ahl-e-kaba Yaad Kya Mai-KHana Aata Hai
mujhe ai ahl-e-kaba yaad kya mai-KHana aata hai
udhar diwana jata hai idhar mastana aata hai
meri mizhgan se aansu pochhta hai kis liye naseh
Tapak paDta hai KHud jo is shajar mein dana aata hai
ye aamad hai ki aafat hai nigah kuchh hai ada kuchh hai
ilahi KHair mujh se aashna begana aata hai
dam-e-taqrir nale halq mein chhuriyan chubhote hain
zaban tak TukDe ho ho kar mera afsana aata hai
ruKH-e-raushan ke aage shama rakh kar wo ye kahte hain
udhar jata hai dekhen ya idhar parwana aata hai
jigar tak aate aate sau jagah girta hua aaya
tera tir-e-nazar aata hai ya mastana aata hai
wahi jhagDa hai furqat ka wahi qissa hai ulfat ka
tujhe ai 'dagh' koi aur bhi afsana aata hai
(1158) Peoples Rate This