Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_e924056a5066e2029732bd24759afe2f, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain

maze ishq ke kuchh wahi jaante hain

ki jo maut ko zindagi jaante hain

shab-e-wasl lin un ki itni balaen

ki hamdam mere hath hi jaante hain

na ho dil to kya lutf-e-azar-o-rahat

barabar KHushi na-KHushi jaante hain

jo hai mere dil mein unhin ko KHabar hai

jo main jaanta hun wahi jaante hain

paDa hun sar-e-bazm main dam churae

magar wo ise be-KHudi jaante hain

kahan qadr-e-ham-jins ham-jins ko hai

farishton ko bhi aadmi jaante hain

kahun haal-e-dil to kahen us se hasil

sabhi ko KHabar hai sabhi jaante hain

wo nadan anjaan bhole hain aise

ki sab shewa-e-dushmani jaante hain

nahin jaante is ka anjam kya hai

wo marna mera dil-lagi jaante hain

samajhta hai tu 'dagh' ko rind zahid

magar rind us ko wali jaante hain

(1235) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Maze Ishq Ke Kuchh Wahi Jaante Hain in PDF.