Kya Tarz-e-kalam Ho Gai Hai
kya tarz-e-kalam ho gai hai
har baat payam ho gai hai
kuchh zahr na thi sharab-e-angur
kya chiz haram ho gai hai
aage to nahin nahin suni thi
ab takiya-kalam ho gai hai
jate jate payam-bar ko
har subh se sham ho gai hai
ab dekhiye mashq-e-paemali
tarif-e-KHiram ho gai hai
pahunche hain jab us ki bazm mein hum
majlis hi tamam ho gai hai
aalam ko hai dawa-e-mohabbat
ye KHas bhi aam ho gai hai
us but ke hamin nahin hain bande
maKHluq ghulam ho gai hai
barbaad na hogi teri ulfat
tajwiz maqam ho gai hai
jagir junun ki qais ke baad
ab 'dagh' ke nam ho gai hai
(1052) Peoples Rate This