KHatir Se Ya Lihaz Se Main Man To Gaya
KHatir se ya lihaz se main man to gaya
jhuTi qasam se aap ka iman to gaya
dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin
ulTi shikayaten huin ehsan to gaya
Darta hun dekh kar dil-e-be-arzu ko main
sunsan ghar ye kyun na ho mehman to gaya
kya aae rahat aai jo kunj-e-mazar mein
wo walwala wo shauq wo arman to gaya
dekha hai but-kade mein jo ai shaiKH kuchh na puchh
iman ki to ye hai ki iman to gaya
ifsha-e-raaz-e-ishq mein go zillaten huin
lekin use jata to diya jaan to gaya
go nama-bar se KHush na hua par hazar shukr
mujh ko wo mere nam se pahchan to gaya
bazm-e-adu mein surat-e-parwana dil mera
go rashk se jala tere qurban to gaya
hosh o hawas o tab o tawan 'dagh' ja chuke
ab hum bhi jaane wale hain saman to gaya
(1581) Peoples Rate This