Kahte Hain Jis Ko Hur Wo Insan Tumhin To Ho
kahte hain jis ko hur wo insan tumhin to ho
jati hai jis pe jaan meri jaan tumhin to ho
matlab ki kah rahe hain wo dana hamin to hain
matlab ki puchhte ho wo nadan tumhin to ho
aata hai baad-e-zulm tumhin ko to rahm bhi
apne kiye se dil mein pasheman tumhin to ho
pachhtaoge bahut mere dil ko ujaD kar
is ghar mein aur kaun hai mehman tumhin to ho
ek roz rang laengi ye mehrbaniyan
hum jaante the jaan ke KHwahan tumhin to ho
dildar o dil-fareb dil-azar o dil-sitan
lakhon mein hum kahenge ki han han tumhin to ho
karte ho 'dagh' dur se but-KHane ko salam
apni tarah ke ek musalman tumhin to ho
(1036) Peoples Rate This