Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_720745814a2f3cb23db76fd514b1ca40, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai

kabe ki hai hawas kabhi ku-e-butan ki hai

mujh ko KHabar nahin meri miTTi kahan ki hai

sun ke mera fasana unhen lutf aa gaya

sunta hun ab ki roz talab qissa-KHwan ki hai

paigham-bar ki baat par aapas mein ranj kya

meri zaban ki hai na tumhaari zaban ki hai

kuchh tazgi ho lazzat-e-azar ke liye

har dam mujhe talash nae aasman ki hai

jaan-bar bhi ho gae hain bahut mujh se nim-jaan

kya gham hai ai tabib jo puri wahan ki hai

hasrat baras rahi hai hamare mazar par

kahte hain sab ye qabr kisi naujawan ki hai

waqt-e-KHiram-e-naz dikha do juda juda

ye chaal hashr ki ye rawish aasman ki hai

fursat kahan ki hum se kisi waqt tu mile

din ghair ka hai raat tere pasban ki hai

qasid ki guftugu se tasalli ho kis tarah

chhupti nahin wo baat jo teri zaban ki hai

jaur-e-raqib o zulm-e-falak ka nahin KHayal

tashwish ek KHatir-e-na-mehrban ki hai

sun kar mera fasana-e-gham us ne ye kaha

ho jae jhuT sach yahi KHubi bayan ki hai

daman sambhaal bandh kamar aastin chaDha

KHanjar nikal dil mein agar imtihan ki hai

har har nafas mein dil se nikalne laga ghubar

kya jaane gard-e-rah ye kis karwan ki hai

kyunki na aate KHuld se aadam zamin par

mauzun wahin wo KHub hai jo sunte jahan ki hai

taqdir se ye puchh raha hun ki ishq mein

tadbir koi bhi sitam-e-na-gahan ki hai

urdu hai jis ka nam hamin jaante hain 'dagh'

hindostan mein dhum hamari zaban ki hai

(1132) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Kabe Ki Hai Hawas Kabhi Ku-e-butan Ki Hai in PDF.