Jo Ho Sakta Hai Us Se Wo Kisi Se Ho Nahin Sakta
jo ho sakta hai us se wo kisi se ho nahin sakta
magar dekho to phir kuchh aadmi se ho nahin sakta
mohabbat mein kare kya kuchh kisi se ho nahin sakta
mera marna bhi to meri KHushi se ho nahin sakta
alag karna raqibon ka ilahi tujh ko aasan hai
mujhe mushkil ki meri bekasi se ho nahin sakta
kiya hai wada-e-farda unhon ne dekhiye kya ho
yahan sabr o tahammul aaj hi se ho nahin sakta
ye mushtaq-e-shahadat kis jagah jaen kise DhunDen
ki tera kaam qatil jab tujhi se ho nahin sakta
laga kar tegh qissa pak kijiye dad-KHwahon ka
kisi ka faisla kar munsifi se ho nahin sakta
mera dushman ba-zahir chaar din ko dost hai tera
kisi ka ho rahe ye har kisi se ho nahin sakta
pursish kahoge kya wahan jab yan ye surat hai
ada ek harf-e-wada nazuki se ho nahin sakta
na kahiye go ki haal-e-dil magar rang-ashna hain hum
ye zahir aap ki kya KHamushi se ho nahin sakta
kiya jo hum ne zalim kya karega ghair munh kya hai
kare to sabr aisa aadmi se ho nahin sakta
chaman mein naz bulbul ne kiya jo apni nale par
chaTak kar ghuncha bola kya kisi se ho nahin sakta
nahin gar tujh pe qabu dil hai par kuchh zor ho apna
karun kya ye bhi to na-taqati se ho nahin sakta
na rona hai tariqe ka na hansna hai saliqe ka
pareshani mein koi kaam ji se ho nahin sakta
hua hun is qadar mahjub arz-e-muddaa kar ke
ki ab to uzr bhi sharmindagi se ho nahin sakta
ghazab mein jaan hai kya kijiye badla ranj-e-furqat ka
badi se kar nahin sakte KHushi se ho nahin sakta
maza jo iztirab-e-shauq se aashiq ko hai hasil
wo taslim o raza o bandagi se ho nahin sakta
KHuda jab dost hai ai 'dagh' kya dushman se andesha
hamara kuchh kisi ki dushmani se ho nahin sakta
(1206) Peoples Rate This