Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_5eb18703f4176d08ac094322773a73a9, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai

jab wo but ham-kalam hota hai

dil o din ka payam hota hai

un se hota hai samna jis din

dur hi se salam hota hai

dil ko rokun ki chashm-e-giryan ko

ek hi KHub kaam hota hai

aap hain aur majma-e-aghyar

roz darbar-e-am hota hai

zist se tang hain na chheD hamein

dekh ghussa haram hota hai

lije musa se lan-tarani ki

ab to hum se kalam hota hai

'dagh' ka nam sun ke wo bole

aadmi ka ye nam hota hai

(872) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Jab Wo But Ham-kalam Hota Hai in PDF.