Idhar Dekh Lena Udhar Dekh Lena
idhar dekh lena udhar dekh lena
kan-ankhiyon se us ko magar dekh lena
faqat nabz se haal zahir na hoga
mera dil bhi ai chaaragar dekh lena
kabhi zikr-e-didar aaya to bole
qayamat se bhi pesh-tar dekh lena
na dena KHat-e-shauq ghabra ke pahle
mahal mauqa ai nama-bar dekh lena
kahin aise bigDe sanwarte bhi dekhe
na aaenge wo rah par dekh lena
taghaful mein shoKHi nirali ada thi
ghazab tha wo munh pher kar dekh lena
shab-e-wada apna yahi mashghala tha
uTha kar nazar su-e-dar dekh lena
bulaya jo ghairon ko dawat mein tum ne
mujhe pesh-tar apne ghar dekh lena
mohabbat ke bazar mein aur kya hai
koi dil dikhae agar dekh lena
mere samne ghair se bhi ishaare
idhar bhi udhar dekh kar dekh lena
na ho nazuk itna bhi mashshata koi
dahan dekh lena kamar dekh lena
nahin rakhne dete jahan panw hum ko
usi aastane pe sar dekh lena
tamasha-e-alam ki fursat hai kis ko
ghanimat hai bas ek nazar dekh lena
diye jate hain aaj kuchh likh ke tum ko
use waqt-e-fursat magar dekh lena
hamin jaan denge hamin mar miTenge
hamein tum kisi waqt par dekh lena
jalaya to hai 'dagh' ke dil ko tum ne
magar is ka hoga asar dekh lena
(1256) Peoples Rate This