Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_b1221c4dc91a4257ff828c5c0fcfb0d3, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hua Jab Samna Us KHub-ru Se - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Hua Jab Samna Us KHub-ru Se

hua jab samna us KHub-ru se

uDa hai rang gul ka pahle bu se

ye aankhen tar jo rahti hain lahu se

wo guzre ishq ke din aabru se

ise kahiye shahadat-nama-e-ishq

use likkha hai KHat apne lahu se

dhuan ban kar uDi missi ki rangat

ye kis ne jal ke tere honT chuse

raqibon ko tamanna hai to bashad

tumhein matlab parai aarzu se

wo gul-takiya mere marqad mein rakhna

moattar ho jo zulf-e-mushk-bu se

nai zid hai ki dil hum muft lenge

bhala kya faeda is guftugu se

adu bhi tum ko chahe ai teri shan

laDate hain hum apni aarzu se

hua hai tu to shahid-baz ai dil

bachaun tujh ko kis kis KHub-ru se

laga rakkhi hai KHak us rahguzar ki

tayammum apna baDh kar hai wuzu se

hamara dil use ab DhunDta hai

thake hain panw jis ki justuju se

KHuda jaane chhalawa tha ki bijli

abhi nikla hai koi ru-ba-ru se

hua hai 'dagh' aasif ka namak-KHwar

guzar jae ilahi aabru se

(1112) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hua Jab Samna Us KHub-ru Se In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Hua Jab Samna Us KHub-ru Se is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Hua Jab Samna Us KHub-ru Se for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Hua Jab Samna Us KHub-ru Se in PDF.