Hosh Aate Hi Hasinon Ko Qayamat Aai
hosh aate hi hasinon ko qayamat aai
aankh mein fitnagari dil mein shararat aai
kya tasawwur hai nihayat mujhe hairat aai
aaine mein bhi nazar teri hi surat aai
is ada se dam-e-raftar qayamat aai
aise hum kyun na hue un ko ye hasrat aai
roz-e-mahshar jo meri dad ki naubat aai
ye gai wo gai kab hath qayamat aai
ab isi par to hai takid wafadari ki
jab gaya jaan se main ghair ki shamat aai
kah gae tan se wo aa ke mere marqad par
sone wale tujhe kis tarah se rahat aai
ban sanwar kar jo wo aae to ye main jaan gaya
ab gai jaan gai aai tabiat aai
rakh diya munh pe mere hath shab-e-wasl us ne
be-hijabi ke liye kaam shikayat aai
jab ye khata hai mera KHun-e-jigar khata hai
dil-e-bimar ko kis chiz pe raghbat aai
garche az-had hun gunahgar musalman to hun
pichhe pichhe mere dozaKH mein bhi jannat aai
main hua shefta un par wo adu par shaida
sath ke sath hi donon ki tabiat aai
umr bhar us ko kaleje se lagae rakha
tere bimar ko jis dard mein lazzat aai
hijr mein jaan nikalti nahin kya aafat hai
mar kar aaj ajal ko shab-e-furqat aai
apne diwanon ko dekha to kaha ghabra kar
ye nai waza ki kis mulk se KHilqat aai
jazb-e-dil khinch hi laya unhen mere dar tak
panw paDti hui har-chand nazakat aai
yun to pamal hue saikDon miTne wale
pahle ginti mein jo aai meri turbat aai
hashr ka wada bhi karte nahin wo kahte hain
farz kar lo jo kai bar qayamat aai
'dagh' ghabrao nahin ab koi dam ke dam mein
lo mubarak ho taraqqi ki bhi saat aai
(1464) Peoples Rate This