Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_c666f824cbc52f811241cba4d9364031, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke

hath nikle apne donon kaam ke

dil ko thama un ka daman tham ke

ghunT pi kar baada-e-gulfam ke

bose le leta hun KHali jam ke

raat din phirta hai kyun ai charKH-e-pir

tere din hain rahat o aaram ke

is nazakat ka bura ho bazm se

uThte hain wo dast-e-dushman tham ke

chashm-e-mast-e-yar ki ek dhum hai

aaj kal hain daur daur-e-jam ke

ya jigar mein ya rahega dil mein tir

ye hi do goshe to hain aaram ke

wo karen uzr-e-wafa achchhi kahi

mujh pe radde rakhte hain ilzam ke

jab qadam kabe se rakkha su-e-dair

tar uljhe jama-e-ehram ke

KHush hain wo daur-e-falak se aaj kal

din phire hain gardish-e-ayyam ke

aa gaya hai bhul kar KHat is taraf

wo to aashiq hain mere hamnam ke

hath se sayyaad ke gir kar chhuri

kaT gae halqe hamare dam ke

qasidon ke muntazir rahne lage

paD gae un ko maze paigham ke

kya kisi dargah mein jaana hai aaj

subh se saman hain hammam ke

puchhte hain hazrat-e-zahid se rind

dam kya hain jama-e-ehram ke

lab utar aae hain wo tarif par

hum jo aadi ho gae dushnam ke

dawa-e-ishq-o-wafa par ye kaha

sab baja lekin mere kis kaam ke

ban-sanwar kar kab bigaDta hai banao

subh tak rahte hain jalwe sham ke

jaur se ya lutf se pura kiya

aap pichhe paD gae jis kaam ke

hai gada-e-mai-kada bhi kya haris

bhar liye jholi mein TukDe jam ke

nala o fariyaad ki taqat kahan

baat karta hun kaleja tham ke

KHugar-e-bedad ko rahat hai maut

bhagta hun nam se aaram ke

'dagh' ke sab harf likhte hain juda

TukDe kar Dale hamare nam ke

(1349) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Hath Nikle Apne Donon Kaam Ke in PDF.