Falak Deta Hai Jinko Aish Un Ko Gham Bhi Hote Hain
falak deta hai jin ko aish un ko gham bhi hote hain
jahan bajte hain naqqare wahin matam bhi hote hain
gile shikwe kahan tak honge aadhi raat to guzri
pareshan tum bhi hote ho pareshan hum bhi hote hain
jo rakkhe chaaragar kafur duni aag lag jae
kahin ye zaKHm-e-dil sharminda-e-marham bhi hote hain
wo aankhen samri-fan hain wo lab isa-nafas dekho
mujhi par sahar hote hain mujhi par dam bhi hote hain
zamana dosti par in hasinon ki na itrae
ye aalam-dost aksar dushman-e-alam bhi hote hain
ba-zahir rahnuma hain aur dil mein bad-gumani hai
tere kuche mein jo jata hai aage hum bhi hote hain
hamare aansuon ki aabdari aur hi kuchh hai
ki yun hone ko raushan gauhar-e-shabnam bhi hote hain
KHuda ke ghar mein kya hai kaam zahid baada-KHwaron ka
jinhen milti nahin wo tishna-e-zamzam bhi hote hain
hamare sath hi paida hua hai ishq ai naseh
judai kis tarah se ho juda tawam bhi hote hain
nahin ghaTti shab-e-furqat bhi aksar hum ne dekha hai
jo baDh jate hain had se wo hi ghaT kar kam bhi hote hain
bachaun pairahan kya chaaragar main dast-e-wahshat se
kahin aise gareban daman-e-maryam bhi hote hain
tabiat ki kaji hargiz miTae se nahin miTti
kabhi sidhe tumhaare gesu-e-pur-KHam bhi hote hain
jo kahta hun ki marta hun to farmate hain mar jao
jo ghash aata hai to mujh par hazaron dam bhi hote hain
kisi ka wada-e-didar to ai 'dagh' bar-haq hai
magar ye dekhiye dil-shad us din hum bhi hote hain
(1336) Peoples Rate This