Dil-e-nakaam Ke Hain Kaam KHarab
dil-e-nakaam ke hain kaam KHarab
kar liya aashiqi mein nam KHarab
is KHarabaat ka yahi hai maza
ki rahe aadmi mudam KHarab
dekh kar jins-e-dil wo kahte hain
kyun kare koi apne dam KHarab
abr-e-tar se saba hi achchhi thi
meri miTTi hui tamam KHarab
wo bhi saqi mujhe nahin deta
wo jo TuTa paDa hai jam KHarab
kya mila hum ko zindagi ke siwa
wo bhi dushwar na-tamam KHarab
wah kya munh se phul jhaDte hain
KHub-ru ho ke ye kalam KHarab
chaal ki rahnuma-e-ishq ne bhi
wo dikhaya jo tha maqam KHarab
'dagh' hai bad-chalan to hone do
sau mein hota hai ek ghulam KHarab
(1483) Peoples Rate This