Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_0ujicbfa5f1k2h5dp0tcked7n6, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha

dil mubtala-e-lazzat-e-azar hi raha

marna firaq-e-yar mein dushwar hi raha

har dam ye shauq tha use qurban kijiye

main wasl mein bhi jaan se be-zar hi raha

ehsan-e-afw-e-jurm se wo sharmsar hun

baKHsha gaya main to bhi gunahgar hi raha

hoti hain har tarah se meri pasdariyan

dushman ke pas bhi wo mera yar hi raha

din pahluon se Tal diya kuchh na kah sake

har chand un ko wasl ka inkar hi raha

zahid ki tauba tauba rahi ghunT ghunT par

sau botalen uDa ke bhi hushyar hi raha

dekhin hazar rashk-e-masiha ki suraten

achchha raha jo ishq ka bimar hi raha

sadqe mein tum ne chhoD diye hain bahut asir

main bhi riha hua ki giraftar hi raha

lazzat wafa mein hai na kisi ki jafa mein hai

dildar hi raha na dil-azar hi raha

jalwe ke baad wasl ki KHwahish zarur thi

wo kya raha jo aashiq-e-didar hi raha

kahte hain jal ke ghair mohabbat se 'dagh' ki

mashuq us ke pas wafadar hi raha

(1147) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dil Mubtala-e-lazzat-e-azar Hi Raha in PDF.