Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_27d5f993301654696ea41fb9684e6aa4, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane - Dagh Dehlvi Poetry In English - Darsaal

Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane

dil ko kya ho gaya KHuda jaane

kyun hai aisa udas kya jaane

apne gham mein bhi us ko sarfa hai

na khila jaane wo na kha jaane

is tajahul ka kya Thikana hai

jaan kar jo na muddaa jaane

kah diya main ne raaz-e-dil apna

us ko tum jaano ya KHuda jaane

kya gharaz kyun idhar tawajjoh ho

haal-e-dil aap ki bala jaane

jaante jaante hi jaanega

mujh mein kya hai abhi wo kya jaane

kya hum us bad-guman se baat karen

jo sataish ko bhi gila jaane

tum na paoge sada-dil mujh sa

jo taghaful ko bhi haya jaane

hai abas jurm-e-ishq par ilzam

jab KHata-war bhi KHata jaane

nahin kotah daman-e-ummid

aage ab dast-e-na-rasa jaane

jo ho achchha hazar achchhon ka

waiz us but ko tu bura jaane

ki meri qadr misl-e-shah-e-dakan

kisi nawwab ne na raja ne

us se uTThegi kya musibat-e-ishq

ibtida ko jo intiha jaane

'dagh' se kah do ab na ghabrao

kaam apna bata hua jaane

(2712) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane In English By Famous Poet Dagh Dehlvi. Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane is written by Dagh Dehlvi. Read famous Poem Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane for youth and Student by Dagh Dehlvi. Free Download Dil Ko Kya Ho Gaya KHuda Jaane in PDF.