Darte Hain Chashm O Zulf O Nigah O Ada Se Hum
Darte hain chashm o zulf o nigah o ada se hum
har dam panah mangte hain har bala se hum
mashuq ja-e-hur mile mai bajae aab
mahshar mein do sawal karenge KHuda se hum
gar tu kisi bahane aa jae waqt-e-naza
zalim karen hazar bahane qaza se hum
go haal-e-dil chhupate hain par is ko kya karen
aate hain KHud-ba-KHud nazar ek mubtila se hum
na-chaar iKHtiyar kiya shewa-e-raqib
kuchh be-hayai KHub hain guzre haya se hum
mangi na hogi KHizr ne yun umr-e-jawedan
kya apni maut mangte hain iltija se hum
dekhen to pahle kaun miTe us ki rah mein
baiThe hain shart bandh ke har naqsh-e-pa se hum
majbur apni shewa-e-sharm-o-haya se tum
na-chaar iztirab-e-dil-e-mubtala se hum
ye aarzu hai aankh mein surma lagaenge
ai 'dagh' KHak-e-pa-e-rasul-e-KHuda se hum
(1157) Peoples Rate This