Bhawen Tanti Hain KHanjar Hath Mein Hai Tan Ke BaiThe Hain
bhawen tanti hain KHanjar hath mein hai tan ke baiThe hain
kisi se aaj bigDi hai ki wo yun ban ke baiThe hain
dilon par saikDon sikke tere joban ke baiThe hain
kalejon par hazaron tir us chitwan ke baiThe hain
ilahi kyun nahin uThti qayamat majra kya hai
hamare samne pahlu mein wo dushman ke baiThe hain
ye gustaKHi ye chheD achchhi nahin hai ai dil-e-nadan
abhi phir ruTh jaenge abhi to man ke baiThe hain
asar hai jazb-e-ulfat mein to khinch kar aa hi jaenge
hamein parwa nahin hum se agar wo tan ke baiThe hain
subuk ho jaenge gar jaenge wo bazm-e-dushman mein
ki jab tak ghar mein baiThe hain wo lakhon man ke baiThe hain
fusun hai ya dua hai ya muamma khul nahin sakta
wo kuchh paDhte hue aage mere madfan ke baiThe hain
bahut roya hun main jab se ye main ne KHwab dekha hai
ki aap aansu bahate samne dushman ke baiThe hain
khaDe hon zer-e-tuba wo na dam lene ko dam bhar bhi
jo hasrat-mand tere saya-e-daman ke baiThe hain
talash-e-manzil-e-maqsad ki gardish uTh nahin sakti
kamar khole hue raste mein hum rahzan ke baiThe hain
ye josh-e-girya to dekho ki jab furqat mein roya hun
dar o diwar ek pal mein mere madfan ke baiThe hain
nigah-e-shoKH o chashm-e-shauq mein dar-parda chhanti hai
ki wo chilman mein hain nazdik hum chilman ke baiThe hain
ye uThna baiThna mahfil mein un ka rang laega
qayamat ban ke uTThenge bhabuka ban ke baiThe hain
kisi ki shamat aaegi kisi ki jaan jaegi
kisi ki tak mein wo baam par ban-Than ke baiThe hain
qasam de kar unhen ye puchh lo tum rang-Dhang us ke
tumhaari bazm mein kuchh dost bhi dushman ke baiThe hain
koi chhinTa paDe to 'dagh' kalkatte chale jaen
azimabaad mein hum muntazir sawan ke baiThe hain
(1195) Peoples Rate This