Baat Meri Kabhi Suni Hi Nahin
baat meri kabhi suni hi nahin
jaante wo buri bhali hi nahin
dil-lagi un ki dil-lagi hi nahin
ranj bhi hai faqat hansi hi nahin
lutf-e-mai tujh se kya kahun zahid
hae kam-baKHt tu ne pi hi nahin
uD gai yun wafa zamane se
kabhi goya kisi mein thi hi nahin
jaan kya dun ki jaanta hun main
tum ne ye chiz le ke di hi nahin
hum to dushman ko dost kar lete
par karen kya teri KHushi hi nahin
hum teri aarzu pe jite hain
ye nahin hai to zindagi hi nahin
dil-lagi dil-lagi nahin naseh
tere dil ko abhi lagi hi nahin
'dagh' kyun tum ko bewafa kahta
wo shikayat ka aadmi hi nahin
(1404) Peoples Rate This