Ab Wo Ye Kah Rahe Hain Meri Man Jaiye
ab wo ye kah rahe hain meri man jaiye
allah teri shan ke qurban jaiye
bigDe hue mizaj ko pahchan jaiye
sidhi tarah na maniyega man jaiye
kis ka hai KHauf rokne wala hi kaun hai
har roz kyun na jaiye mehman jaiye
mahfil mein kis ne aap ko dil mein chhupa liya
itnon mein kaun chor hai pahchan jaiye
hain tewri mein bal to nigahen phiri hui
jate hain aise aane se ausan jaiye
do mushkilen hain ek jatane mein shauq ke
pahle to jaan jaiye phir man jaiye
insan ko hai KHana-e-hasti mein lutf kya
mehman aaiye to pasheman jaiye
go wada-e-visal ho jhuTa maza to hai
kyun kar na aise jhuT ke qurban jaiye
rah jae baad-e-wasl bhi cheTak lagi hui
kuchh rakhiye kuchh nikal ke arman jaiye
achchhi kahi ki ghair ke ghar tak zara chalo
main aap ka nahin hun nigahban jaiye
aae hain aap ghair ke ghar se khaDe khaDe
ye aur ko jataiye ehsan, jaiye
donon se imtihan-e-wafa par ye kah diya
manwaiye raqib ko ya man jaiye
kya bad-gumaniyan hain unhen mujh ko hukm hai
ghar mein KHuda ke bhi to na mehman jaiye
kya farz hai ki sab meri baaten qubul hain
sun sun ke kuchh na maniye kuchh man jaiye
saudaiyan-e-zulf mein kuchh to laTak bhi ho
jannat mein jaiye to pareshan jaiye
dil ko jo dekh lo to yahi pyar se kaho
qurban jaiye tere qurban jaiye
dil ko jo dekh lo to yahi pyar se kaho
qurban jaiye tere qurban jaiye
jaane na dunga aap ko be-faisla hue
dil ke muqaddame ko abhi chhan jaiye
ye to baja ki aap ko duniya se kya gharaz
jati hai jis ki jaan use jaan jaiye
ghusse mein hath se ye nishani na gir paDe
daman mein le ke mera gareban jaiye
ye muKHtasar jawab mila arz-e-wasl par
dil manta nahin ki teri man jaiye
wo aazmuda-kar to hai gar wali nahin
jo kuchh bataiye 'dagh' use man jaiye
(1072) Peoples Rate This