Chehre Pe Nur-e-subh Siyah Gesuon Mein Raat
chehre pe nur-e-subh siyah gesuon mein raat
utri thi ek pari liye apne paron mein raat
din to shikam ki aag bujhane mein jae hai
shukr-e-KHuda ki kaTti hai danishwaron mein raat
thi wajh-e-KHwab kal yahi taskin-e-qalb bhi
hum ko to ab Darane lagi zalzalon mein raat
har sahab-e-kamal hai fan ke uruj par
qibla-numa rahi hai sabhi hadson mein raat
aankhon mein un ka husn tha sota main kis tarah
aai thi garche ghar mere kitne dinon mein raat
aawargi ki chhap wo aai thi chhoDne
sharminda ho ke lauT gai dil-jalon mein raat
kuchh der haw-hu ka tha manzar shabab par
din ki thaki thi so hi gai mandiron mein raat
hum the ki gharq-e-jam rahe mai-kashon ke bich
hum ko talash karti rahi aabidon mein raat
jugnu chamak rahe the ujale mein ishq ke
'daem' qayam karti kahan buz-dilon mein raat
(972) Peoples Rate This