Bab-e-rahmat Pe Dua Girya-kunan Ho Jaise
bab-e-rahmat pe dua girya-kunan ho jaise
gum-shuda beTe ki muztar koi man ho jaise
us ki mumtaz ki rudad-e-mohabbat likh dun
aise kahta hai koi shah-jahan ho jaise
guftugu mein wo halawat wo amal mein iKHlas
us ki hasti pe farishte ka guman ho jaise
us ki duzdida-nigahi ke hain sab hi ghayal
koi sayyaad liye tir-o-kaman ho jaise
mujh ko urdu-e-mualla nahin aati ab tak
tujh ko ye zoam tere ghar ki zaban ho jaise
hum ko rakhti hai nishane pe siyasat un ki
ghar jalane pe ba-zid barq-e-tapan ho jaise
us ke aate hi sanam-KHanon ke but bol uThe
mashriqon mein koi ejaz-e-bayan ho jaise
yun teri zulf ki KHushbu hai sar-e-sham uDi
kashti-e-fikr yam-e-fan mein rawan ho jaise
tere ashaar utar aate hain 'daem' dil mein
haq-paraston ke liye saut-e-azan ho jaise
(908) Peoples Rate This