Khulti Hai Chandni Jahan Wo Koi Baam Aur Hai
khulti hai chandni jahan wo koi baam aur hai
dil ko jahan sukun mile wo to maqam aur hai
kahti hai ruh jism se shayad tujhe KHabar nahin
mera maqam tu nahin mera maqam aur hai
sahmi hui ye KHamushi honTon ki tere kapkapi
kahti hai saf nama-bar kuchh to payam aur hai
shikwa-e-be-ruKHi pe wo kahne lage ki dekhiye
nazron ki baat aur hai dil ka salam aur hai
pite rahe hain umr-bhar lekin wahi hai tishnagi
jis ka nasha hai jawedan wo koi jam aur hai
waqt-e-gunah der tak kahta hai mujh se dil mera
kar-e-hayat-e-ishq mein tera to kaam aur hai
har shai pe is jahan ki parda hai ek fareb ka
kahte hain sab 'kanwal' mujhe go mera nam aur hai
(1033) Peoples Rate This