BT-nama
ham-nawa kaun si ummid pe KHamosh rahun
kis liye shahid-e-b-T ki main pa-posh rahun
chiz kya hai sag-e-college ki main KHargosh rahun
kyun zayan-kar bannun sud-faramosh rahun
aaj main b-T liye dast-o-gireban hunga
naseha pas na aana ki main nadan hunga
main to samjha tha ki B-T hai koi kar-e-sawab
dekhi andar se magar aa ke jo ye KHana-KHarab
mujh ko mahsus hua ye to hai godam azab
jis mein main jhonka gaya aisa ki jun pa-ba-jarab
dil-e-insan ki nazakat ise malhuz nahin
han sharifon ki sharafat bhi to mahfuz nahin
zulm-e-B-T se KHuda jaanta hai chur hain hum
jo ki kikar pe chaDhaya tha wo angur hain hum
qissa-e-dard sunate hain ki majbur hain ham
jin ko samjhe ho khilaune wo hum insan nahin
rab ke bande hain koi saKHta-japan nahin
B-T kya hai ye faqat bandon ka haiwan hona
aur makruh si kuchh Tangon ka uryan hona
Lean ke hukm pe gham khana pareshan hona
hum se be-hudgi har roz ye farmate hain
subh bhi sham bhi jab chahen ye karwate hain
mazhab-e-B-T mein kya nagha haram hota hai
sar pe har subh ye kyun raunaki-ram hota hai
bhulta hai na use ghar ka hi kaam hota hai
na buKHar aata hai us ko na zukaam hota hai
are twitter ye KHuda hai to sifarish kar de
gar ye kam-baKHt nahin Talta to barish kar de
hostel kya hai tawela sa bana rakkha hai
aur wo samjhe hain ki firdaus saja rakkha hai
bans par us ko bila-wajh chaDha rakkha hai
dekho darwaze pe rizwan jo biTha rakkha hai
dekhen DewDhi pe to mehman wahi Talte hain
is se aage to farishton ke bhi par jalte hain
ye bhi pabandi-e-mehman mein KHata-war nahin
kyunki haalat-e-darun qabil izhaar nahin
yan giraftar-e-bala hain jo gunahgar nahin
aisi jannat ka to dozaKH bhi KHaridar nahin
hostel teri haqiqat ko gae hain hum panch
inDiman walon ne lahore mein kholi hai branch
chhuTTi darkar ho gar tum ko ayaadat ke liye
mah-bhar pahle se do arzi ijazat ke liye
pesh-goi karo na-dida musibat ke liye
goya paighambari darkar hai ruKHsat ke liye
izrail aake hamein apna programme bata
jin buzurgon pe teri aankh hai wo nam bata
ai KHuda hum bhi the manus kabhi ishrat se
ab hain mahrum training mein teri rahmat se
bach nahin sakte kabhi raat ki is kulfat se
din ko paDh paDh ke fana ho gae ek muddat se
dard-e-sar hai ki flue hai ki tap-e-khansi hai
umr-bhar qaidi ka anjam yahan phansi hai
(1277) Peoples Rate This