Kaenat-e-arzu Mein Hum Basar Karne Lage
kaenat-e-arzu mein hum basar karne lage
sab bahut nafrat se kyun hum par nazar karne lage
tere har lamhe ka hum ne aaj tak rakkha hisab
ye alag hai baat KHud ko be-KHabar karne lage
zindagi ko alwidaa kah kar chala jaunga main
jab meri tanhai mujh ko dar-ba-dar karne lage
mulk ki barbaadiyan us waqt tai ho jaengi
jab buri tahzib bachchon par asar karne lage
ya-KHuda rah-e-wafa par rahbari karna meri
jab mujhe gumrah mera ham-safar karne lage
chhoD kar us waqt ohde KHud chala jaunga main
shak jahan koi mere iman par karne lage
ishq ke us moD ko sab log kahte hain junun
dil kisi ko yaad jab sham-o-sahar karne lage
(988) Peoples Rate This