Hamare Sabr Ka Ek Imtihan Baqi Hai

hamare sabr ka ek imtihan baqi hai

isi liye to abhi tak ye jaan baqi hai

wo nafraton ki imarat bhi gir gai dekho

mohabbaton ka ye kachcha makan baqi hai

mera usul hai ghazlon mein sach bayan karna

main mar gaya to mera KHandan baqi hai

main chand par hun magar mutmain nahin hun main

mere paron mein abhi bhi uDan baqi hai

miTa do jism se meri nishaniyan lekin

tumhaari ruh pe mera nishan baqi hai

tumhein to sach ko ugalne ki thi baDi aadat

tumhaare munh mein abhi tak zaban baqi hai

hamari maut ko barson guzar gae lekin

badan ka KHak se ab tak milan baqi hai

(1077) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hamare Sabr Ka Ek Imtihan Baqi Hai In English By Famous Poet Chitransh Khare. Hamare Sabr Ka Ek Imtihan Baqi Hai is written by Chitransh Khare. Read famous Poem Hamare Sabr Ka Ek Imtihan Baqi Hai for youth and Student by Chitransh Khare. Free Download Hamare Sabr Ka Ek Imtihan Baqi Hai in PDF.