Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_905d7b9a4ebeb3d64c973ae16115f4ee, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Tarkib-e-sarfi - Chaudhary Mohammad Naeem Poetry In English - Darsaal

Tarkib-e-sarfi

nok-e-minar pe aTki hui qumri se bhala

kya pata KHak chala

aasman hadd-e-nazar hai ki kamin-gah-e-raqib?

mein batata hun magar apne suKHan bich mein hai

aasman ek kabutar hai ki jis ke KHun ki

pyas mein saikDon uqab uDa karte hain

maut badkar sharabi hai paDosi mera

roz darwaze ke us par jo gir jata hai

zindagi ek chhachhundar hai ki jis ki bad-bu

bu-e-yusuf mein bhi hai girya-e-yaqub mein bhi

ilm circus ke madari ke dahan ka shoala

zaiqa munh ka badalne ko bahut kafi hai

aur mein ek hasin KHwab ki jis mein gum hai

KHwab dekhne wala wo kamin-gah ka raqib

(975) Peoples Rate This

Chaudhary Mohammad Naeem 's More Poetry

Your Thoughts and Comments

Tarkib-e-sarfi In English By Famous Poet Chaudhary Mohammad Naeem . Tarkib-e-sarfi is written by Chaudhary Mohammad Naeem . Read famous Poem Tarkib-e-sarfi for youth and Student by Chaudhary Mohammad Naeem . Free Download Tarkib-e-sarfi in PDF.