Yaum-e-jamhur
yaum-e-jamhur tere aane par
nach uThe hain masarraton ke payam
in ujalon mein zulmaten to nahin
sochte hain mere watan ke awam
jagmagata hai waqt ka chehra
be-bason par jahan hansta hai
apne ruKH par nahin hai mauja-e-nur
jhonpaDi kis tarah ho rashk-e-mahal
jam-e-jamhuriyat to pite hain
hasraten dam jo toD den ghuT kar
lekin is mein nahin hai kaif-o-surur
zindagi kyun na ho shikar-e-ajal
apne hasrat-bhare muqaddar ka
is tarah hum mazaq uDate hain
KHud hi rote hain waqt ka rona
aur phir KHud hi muskuraate hain
(2718) Peoples Rate This