Maharishi-swami-dayanand
om ka jhanDa fazaon mein uData aaya
use tahzib ka sartaj banata aaya
jis se har qaum ki taqdir bana karti hai
hamein aKHlaq ka wo dars sikhata aaya
aatma saf hua karti hai jin jazbon se
mashal-e-rah unhi jazbon ko banata aaya
hum dayanand ko kahte hain payambar lekin
KHud ko wo qaum ka sewak hi batata aaya
aariya-wart ka raushan-tarin minar tha wo
raushni sare zamane ko dikhata aaya
qaum ko shuddhi ki talim ka unwan de kar
qaum ko ghair ke panje se chhuData aaya
bhai-chaare se mohabbat se rawadari se
qaum ko jine ka andaz sikhata aaya
apni tahzib jise log bhula baiThe the
wed-mantar se wahi yaad dilata aaya
shastr aur wed ke mantar ka uchaaran kar ke
ahd-e-mazi ka ek aaina dikhata aaya
ghor andhkar tha agyan ka jari har-su
gyan agyan ke antar ko miTata aaya
kufr-o-baatil ke uDe hathon ke tote ai 'charKH'
haq-parasti ka wo yun Danka bajata aaya
(1977) Peoples Rate This