Qarar Kho Ke Chale Be-qarar Ho Ke Chale
qarar kho ke chale be-qarar ho ke chale
ada ada pe teri hum nisar ho ke chale
rah-e-wafa mein raqabat ke moD bhi hain bahut
ye dil se kah do zara hoshiyar ho ke chale
kisi ke kahne pe tufan mein Dal di kashti
KHuda kare ki hawa sazgar ho ke chale
hamein to naz hai apne hasin gunahon par
wo log aur the jo sharmsar hauke chale
tumhaari ambarin zulfon ko chhu ke aai hai
hawa ki mauj na kyun mushk-bar ho ke chale
wo jite-ji to na aae mizaj-pursi ko
janaza dekha to sath ashk-bar ho ke chale
nazar ne mil ke nazar se mila diya hum ko
ye rabt bahami ab ustuwar ho ke chale
wo arz-e-wasl pe KHamosh ho ke baiTh gae
na aar ho ke chale wo na par ho ke chale
azal se 'charKH' tabiat shagufta hai apni
jo milne aae wo bagh-o-bahaar ho ke chale
(1126) Peoples Rate This