Machlenge Un Ke Aane Pe Jazbaat SainkaDon
machlenge un ke aane pe jazbaat sainkaDon
hans bolne ki hongi hikayat sainkaDon
mayyat uThane koi bhi aaya na baad-e-marg
sunte the zindagi mein meri baat sainkaDon
tum the to zindagi ka na koi sawal tha
ab janm le rahe hain sawalat sainkaDon
kyun us nigah-e-mast ki sab mangte hain KHair
aabaad aur bhi hain KHarabaat sainkaDon
chamke jo tere nur se din-raat the wahi
aane ko yun to aae hain din-raat sainkaDon
parda-nawaz husn ke qurban jaiye
ek ek hijab mein hain hijabaat sainkaDon
wo baat koi bhi na kahega jo hum kahen
tum jo kaho kahenge wahi baat sainkaDon
karte hain arz-e-wasl pe han-hun aji nahin
yani sawal ek hai jawabaat sainkaDon
bante hain zindagi ke fasane unhin se 'charKH'
wo hain to zindagi ki riwayat sainkaDon
(1275) Peoples Rate This