Jab Sar-e-baam Wo KHurshid-jamal Aata Hai
jab sar-e-baam wo KHurshid-jamal aata hai
zarre zarre pe qayamat ka jalal aata hai
phul muskate hain lahraati hai Tahni Tahni
fasl-e-gul aate hi har shai pe jamal aata hai
wo janam-din pe bulate hain hamesha mujh ko
har naya sal ba-andaz-e-visal aata hai
kyun tere honT mujhe dete hain manfi mein jawab
mere honTon pe ye rah rah ke sawal aata hai
jab sawali koi aa jata hai dar par to mujhe
us ki baKHshi hui neamat ka KHayal aata hai
un ke khilte hue joban ko wo murjha na saka
aane ko daur-e-KHizan sal-ba-sal aata hai
mujhe jachti hi nahin aur kisi ki surat
jab KHayal aata hai tera hi KHayal aata hai
tare ginwati hain phir hijr ki kali raaten
jab mujhe yaad koi zohra-jamal aata hai
yun ruKH-e-zard chamak uThta hai aane pe tere
jaise holi mein koi mal ke gulal aata hai
apne hathon ke pale log jo ho jaen KHilaf
un ke aKHlaq pe ai 'charKH' malal aata hai
(2084) Peoples Rate This