Husn Ke Jalwe LuTae Teri Ranai Ne

husn ke jalwe luTae teri ranai ne

raaz sab khol diye ek hi angDai ne

rang bhar kar teri taswir mein jazb-e-gham ka

apni taswir bana di tere saudai ne

wasl-e-mahbub ki tadbir sujhai mujh ko

haq-parasti ne aqidat ne jabin-sai ne

hum ne socha tha ki bujh jaenge gham ke shoale

aa ke kuchh aur hawa di unhen purwai ne

shorish-e-dahr ne begana kiya KHud se mujhe

aagahi baKHshi mujhe gosha-e-tanhai ne

ek masum se chehre pe raunat ki numud

hae kya zulm kiya aalam-e-barnai ne

gardish-e-waqt ne maiKHane mein dam toD diya

jaane kya chiz pila di tere sahbai ne

ruKH tamashe ka badal Dala achanak aa kar

ek KHush-chehra KHush-andaz tamashai ne

charKH aapas ke talluq ka ye andaz bhi dekh

kar diya un ko bhi ruswa meri ruswai ne

(1217) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Husn Ke Jalwe LuTae Teri Ranai Ne In English By Famous Poet Charkh Chinioti. Husn Ke Jalwe LuTae Teri Ranai Ne is written by Charkh Chinioti. Read famous Poem Husn Ke Jalwe LuTae Teri Ranai Ne for youth and Student by Charkh Chinioti. Free Download Husn Ke Jalwe LuTae Teri Ranai Ne in PDF.