Hum Jo Mil BaiThen To Yak-jaan Bhi Ho Sakte Hain
hum jo mil baiThen to yak-jaan bhi ho sakte hain
pure apne sabhi arman bhi ho sakte hain
tujh se is tarah pe aa pahuncha hai rishta apna
bin bulae tere mehman bhi ho sakte hain
hum tere nam ki japte nahin mala hi faqat
hum tere nam pe qurban bhi ho sakte hain
dil mein aane ki bhala aap ko dawat main dun
ghar ke malik kabhi mehman bhi ho sakte hain
but-e-kafir ki parastish pe koi qaid nahin
pujne wale musalman bhi ho sakte hain
be-ruKHi tu ne bhi barti jo KHudaya un se
tujh se barham tere insan bhi ho sakte hain
aaj jo gardish-e-dauran ka uDate hain mazaq
kal wahi log pareshan bhi ho sakte hain
tu jo samjhe mere armanon ki ahmiyyat ko
mere arman tere arman bhi ho sakte hain
jab KHata karte the us waqt na socha ai 'charKH'
hum sar-e-hashr pasheman bhi ho sakte hain
(1065) Peoples Rate This