Faza-e-na-umidi Mein Umid-afza Payam Aaya
faza-e-na-umidi mein umid-afza payam aaya
main baiTha gin raha tha hasraten un ka salam aaya
hamari sham-e-furqat jaise ek sham-e-charaghan thi
jo aansu aaya palkon par ba-husn-e-ehtimam aaya
adhuri kis tarah rahti kahani ishq ki hamdam
idhar dam toDta tha main udhar un ka payam aaya
udhar bhi raushni phaili idhar bhi raushni phaili
wo jab mahfil mein aaya surat-e-mah-e-tamam aaya
chhiDi jab baat husn-o-ishq ki bazm-e-mohabbat mein
kahin par tera nam aaya kahin par mera nam aaya
jawani ke zamane ki bas itni si kahani hai
jab un ki yaad aai zabt ka jazba na kaam aaya
gada-e-mai-kada ban kar guzari zindagi jis ne
muqaddar mein usi ke rahmat-e-saqi ka jam aaya
bas itna yaad hai manzil-ba-manzil ham-safar the wo
na jaane kab sahar aai kahan hangam-e-sham aaya
mera aamal-nama ghumta tha meri nazron mein
jab apne samne ai 'charKH' waqt-e-iKHtitam aaya
(1202) Peoples Rate This