Bazm-e-jaanan Mein Mohabbat Ka Asar Dekhenge
bazm-e-jaanan mein mohabbat ka asar dekhenge
kis se milti hai nazar un ki nazar dekhenge
ab na palkon pe Tiko TuT ke barso ashko
un ka kahna hai ki hum dida-e-tar dekhenge
dhaDkano tez chalo Dubti nabzo ubhro
aaj wo bujhte charaghon ki sahar dekhenge
ai mere dil ke sulagte hue dagho bhaDko
hijr ki raat wo jalta hua ghar dekhenge
tere dar se hamein KHairaat mile ya na mile
hum tere dar ke siwa koi na dar dekhenge
mai-kade jumenge barsegi jawani ki sharab
wo chhalakti hui nazron se jidhar dekhenge
un ki nazron se hai wabasta zamane ki nazar
wo jidhar dekhenge sab log udhar dekhenge
aaj mazi ke fasane wo sunenge ai 'charKH'
meri barbaad umidon ke khanDar dekhenge
(1155) Peoples Rate This