Baat Kahne Ke Liye Baat Banai Na Gai
baat kahne ke liye baat banai na gai
hum se baraat farebon ki sajai na gai
aaj bhi dar ke taKHta se sada aati hai
haq ki aawaz sitamgar se dabai na gai
dost karte hain hasad is liye teri taswir
ma-siwa dil ke kahin aur sajai na gai
gham ki taswir banane ko main jab bhi baiTha
un ki muskan ubhar aai banai na gai
nai tahzib ke KHakon ko sanwara hum ne
hum se aKHlaq ki taswir banai na gai
jaane kya sujhi meri qabr par aa kar un se
gul chaDhae na gae shama jalai na gai
main to baat aai-gai kar ke chala aaya tha
ho gai baat parai wo dabai na gai
us ne hangamon se bahlai hai apni duniya
waqt se aman ki shahnai bajai na gai
'charKH' dekhe jo jawani ke ubharte jalwe
zindagi apni gunahon se bachai na gai
(1289) Peoples Rate This