Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya

ek markaz pe simaT aai hai sari duniya

hum tamasha hain tamashai hai sari duniya

jashn hoga kisi aaina-sifat ka shayad

sang hathon mein uTha lai hai sari duniya

wo KHuda to nahin lekin hai KHuda ka banda

jis ki aawaz se tharrai hai sari duniya

wo bhi duniya ke liye chhoD raha hai mujh ko

main ne jis ke liye Thukrai hai sari duniya

kyun nigahon mein khaTakta hai nizam-e-qudrat

kyun baghawat pe utar aai hai sari duniya

maut ko dost banana hi munasib hai 'bashar'

zindagi ki to tamannai hai sari duniya

(1430) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya In English By Famous Poet Charan Singh Bashar. Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya is written by Charan Singh Bashar. Read famous Poem Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya for youth and Student by Charan Singh Bashar. Free Download Ek Markaz Pe SimaT Aai Hai Sari Duniya in PDF.