Samandar Ka Sukut
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
hum ko ek dusre se dur hi rahna hoga
hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga
mujh ko is daur-e-jarahat se guzar jaane de
mujh ko jine ki tamanna nahin mar jaane de
meri taqdir mein gham hain to koi baat nahin
mujh ko zulmat ki guphaon mein utar jaane de
tu na ghabra ki tere husn ki mishal le kar
tere hamrah kabhi tere bichhaune ke qarib
raat bhar dhum machaega mere jism ka bhut
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
zarf baqi na koi azm-e-nihan baqi hai
sirf ehsas ke chehre pe dhuan baqi hai
koi saya hai na sathi hai na mahfil koi
dilkashi KHatm hai phir kyun ye jahan baqi hai
ye jahan jis mein sab atraf tabahi ke nishan
surat o shakl pe zaKHmon ki tarah phaile hain
aur har zaKHm hai insan ki wahshat ka subut
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
talKH tanhai ka ek dard liye chehre par
le ke phirta hun main zaKHmon ke diye chehre par
ruh majruh jabin zaKHm-zada dil ghail
phir bhi hansta hun nai aas liye chehre par
zindagi hai ki kisi shah ki begam jis ko
waqt bazar mein laya hai barhana kar ke
aur KHamosh hain tahzib o tamaddun ke saput
aaj phir ghat mein baiTha hai samundar ka sukut
waqt kahta hai hamein dur hi rahna hoga
hum ko har haal mein majbur hi rahna hoga
(1199) Peoples Rate This