Qatra Qatra Ehsas
phail kar phir shab-e-tarik hui bahr-e-siyah
qatra qatra lab-e-tanhai se Tapke ehsas
aur palkon ki salibon pe wo guzre hue din
jaise khanDaron ki fasilon pe Tanga ho itihas
dafn hai rakh ke ambar tale azm ki lash
justuju us ki kare aaj kise fursat hai
raushni mang na suraj se na sitaron se
tera o tar makanon mein baDi rahat hai
ab to alfaz ke chehron ki KHarashen paDh kar
waqt ko Tal diya jae gadagar ki tarah
warna wo lams jo shabnam se subuk-tar tha kabhi
aaj phir sine pe gir jaega patthar ki tarah
(1047) Peoples Rate This